**************
Kahi`n Apno`n ka jhagda hai, kahi`n Auro`n ka hangama
Kahi`n Mazhab ka jhagda hai, kahi`n Zaato`n ka hangama
Zara sach baat kya kah di, ki kar baithe ho hangama
Kahi`n Roti ka jhagda hai, kahi`n Kothi ka hangama
Kahi`n Izzat luti hai aur sabhi khamosh baithe hai`n
Agar Beti teri hoti to kya karte na hangama?
Kahi`n Imaan ka khatra, Kahi`n Insan khtre me
Kahi`n Mandir ka jhagda hai, kahi`n Masjid me hangama
Kahi`n hai Jaan khatre me, kahi`n Masoom marte hai`n
Kahi`n Kursi ka jhagda hai, Kahi`n Neta ka hangama
Yha`n hai Hind ko khatra, waha`n hai Paak khatre me
Kahi`n Sarhad ka jhagda hai, kahi`n Faujo`n ka hangama
- Obaidullah Usmani