Wednesday, July 18, 2018

Ye kaisi Hukumat hai Bhai, Ye kaisi Adaalat hai Bhai

Hukumat aur Adalat

Maqtool ko  Mujrim  sabit kr,  Qaatil ki  rehaai  ho jaaye
Insaaf na mile Mazloomon ko, Zaalim ki rehaai ho jaaye
:
Ye kaisi Hukumat hai Bhai, Ye kaisi Adaalat hai Bhai

Baaten na sune Lacharon ki, Ameeron ki Rasaai ho jaye
Insaaf  kre jo Adaalat me, Us Judge ka Transfer ho jaaye
:
Ye kaisi Hukumat hai Bhai, Ye kaisi Adaalat hai Bhai

Voting na ho  Ballot paper se,  EVM me  Ghotala ho jaaye
Kisaano ka Qarza Maaf na ho, Aur Bank Ghotala ho jaaye
:
Ye kaisi Hukumat hai Bhai, Ye kaisi Adaalat hai Bhai

Taaleemi  Idaaron  me  bhi ab,  sare~aam  Gunde  aajayen
Ilm se koson door hain jo, Taaleem ke Rakhwale ho jaayen
:
Ye kaisi Hukumat hai Bhai, Ye kaisi Adaalat hai Bhai

- Obaidullah Usmani                         

Monday, April 16, 2018

HANGAMA

Beti
**************
Kahi`n Apno`n ka jhagda hai, kahi`n Auro`n ka hangama
Kahi`n Mazhab ka jhagda hai, kahi`n Zaato`n ka hangama

Zara sach baat kya kah di, ki kar baithe ho hangama
Kahi`n Roti ka jhagda hai, kahi`n Kothi ka hangama

Kahi`n Izzat luti hai aur  sabhi khamosh baithe hai`n
Agar   Beti   teri   hoti  to  kya   karte   na   hangama?

Kahi`n   Imaan   ka   khatra,   Kahi`n   Insan   khtre   me
Kahi`n Mandir ka jhagda hai, kahi`n Masjid me hangama

Kahi`n hai Jaan khatre me, kahi`n Masoom marte hai`n
Kahi`n  Kursi ka jhagda hai, Kahi`n  Neta ka hangama

Yha`n  hai Hind ko khatra, waha`n  hai Paak khatre me
Kahi`n Sarhad ka jhagda hai, kahi`n Faujo`n ka hangama

- Obaidullah Usmani                        

Wednesday, March 28, 2018

Rekhta

REKHTA

Jashn e rekhta

Urdu ka naan purana hai Rekhta
Hindi ko apna bnata hai Rekhta

Sabke dilon ko lubhata hai Rekhta
Hmko  adab  sikhata   hai  Rekhta

Ye naam band tha kitabon me kl magar
Ab har zuban pe naam  aata hai Rekhta

Bolne ka tumko agar hai hunar nhi
Aajao har saliqa sikhata hai Rekhta

Urdu  to  sab  zubano  ka  mel hai
Is waste to jaan lutata hai Rekhta

Alfaz mar rahe the Urdu ke naam par
Aab~e~hyaat  isko  pilata  hai  Rekhta

Obaid   hai   nhi  Shayar   ki  list  me
Ghar pe hi Jashn ye mnata hai Rekhta


- Obaidullah Usmani                                        

Sunday, March 25, 2018

Ghazal

BHARAT

Bharat

Chalo ab pyar ki shamma jalaya jaye
Nafrat ke  andheron  ko  mitaya jaye

Har  sham  mahak  jati  hai  raat  ki  rani
Subah mahkaye koi gul aisa khilaya jaye

Dil   se   dil   mil   jayenge   lekin   pahele
Hath bhi pyar~o~mohabbat se milaya jaye

Muslim  ho  ki  Hindu,  Sikh  ya  Esai
Ghar pe aaye to mehman hi samjha jaye

Gandhi hon ki Nehroo ya hon Abul Kalam
Inke khwabon se hi Bharat ko sajaya jaye

-Obaidullah Usmani                              

Wednesday, March 21, 2018

NAZAM

SIKHO

Shamma bujh jaye to, us ko jalana sikho
Mushkilen lakh sahi, us se guzarna sikho

Raat  guzregi tab  jake  sawera hoga
Subha pane ke liye raat ko jina sikho

Gham yaad  rahega to khushi mahsus karoge
Kushiyan pane ke liye gham se ulajhna sikho

Waqt be waqt yado me na khojaya karo
Dil ko samjhao ki halat samjhna sikho

Is jahan me koi sathi nhi tera hai Obaid
Sirf ALLAH ko sathi apna bnana sikho

-Obaidullah Usmani                                

Thursday, March 15, 2018

JAHEZ

Bete Ki Shadi


Bate ki shadi


Bete ki shadi kar ke vyapar kar liya hai

Ek  jhopadi  thi jisko ghar~baar  kar liya hai
Ek  cycle  thi  usko  motor car  kar  liya  hai
Pankha nhi tha ghar me cooler bhi  le liya hai
T.V.  liya  hai  mai  ne  mixer  bhai le liya hai

Bete ki shadi kar ke vyapar kar liya hai

Mili  kaam se bhi  fursat  aaram kar rha hun
Aai  bahu  jo  ghar  me  nokar  bna  liya  hai

Bete ki shadi kar ke vyapar kar liya hai

Kya baat hai ki Ummat lanat ko khair samjhe
Kahte  sabhi yhi hain  maine to  Haq liya hai

Bete ki shadi kar ke vyapar kar liya hai

Usse  bhi puchh  lo  tum, laye  ho  jis  ki beti
Usne  to ghar ko  apne,  nilam  kar  diya  hai


Obaidullah Usmani                                              

Monday, March 5, 2018

Nazm

PATJHAR  KA  MAUSAM


Nazm Patjhar ka mausam

Phoolon ko dekh lo tum pahele se ab nhin hain
Patjhad ke maosamon ka sadma inhen laga hai 




Nazm Patjhar ka mausam

Bhaore bhi ab nhin hain, kaliyan bhi khush nhin hain
Paodhon ko dekh lo tum, kanta hi bs lga hai




Nazm Patjhar ka mausam

Mere chaman me tha jo bulbul ka aashiyana
Uski jagah pe ullu rahne ab laga hai




Nazm Patjhar ka mausam

Kya baat hai ki tum bhi khamohs ho gye ho
kis baat ka abhi se gham tum ko ho gaya hai




Nazm Patjhar ka mausam

Gham mujh ko kuchh nhi hai, ye baat hai purani
Guzra hua zamana, kaliyon ka muskurana bs yad aa gya hai




Nazm Patjhar ka mausam

Aaye bahar phir se, aye kaash mere chaman men
Aabaad ho ye phir se, dhuaan ise laga hai


Obaidullah Usmani                      

Friday, March 2, 2018

Dil se dil mil rhe hain to aawaz kiun

KIUN

Dil shayri


Dil se dil mil rhe hain to aawaz kiun
Lag rhe khush sabhi aap naraz kiun

Baat barson se hothon pe aai nhin

Aaj aai to kahdo ho khamosh kiun

Ab chraghon pe parwane aate nhin

Raat roshan aur din me syahi hai kiun

Bulbulen hi chaman se vida ho chalin

Baghban se ho hmko shikayat hi kiun

Unke dil me nhin hai wafa ki jagah

Hm karenge wafa aisa socha hi kiun


Ye mera wo mera wo mera ye mera
Haal sbka yhi ilzam mujhpe hi kiun


                                                                                               - Obaidullah Usmani

Tuesday, February 27, 2018

Mai soya nhin hun kaee raat se

ZULM

sad shayri

Mai soya nhin hun kaee raat se
Aankh ashkon se bhigi kaee raat se

Zulmaton ki wo sari hade tod kar
Chain se so rha hai kaee raat se

Utha lo ye shamsheer ab hath me
Hone wala nhi hai kuchh ab baat se

Jaa mila hai ye insan shaitan se
Sirf baqi hai ummid ab Teri Zaat se

- Obaidullah Usmani