PATJHAR KA MAUSAM
Phoolon ko dekh lo tum pahele se ab nhin hain
Patjhad ke maosamon ka sadma inhen laga hai
Bhaore bhi ab nhin hain, kaliyan bhi khush nhin hain
Paodhon ko dekh lo tum, kanta hi bs lga hai
Mere chaman me tha jo bulbul ka aashiyana
Uski jagah pe ullu rahne ab laga hai
Kya baat hai ki tum bhi khamohs ho gye ho
kis baat ka abhi se gham tum ko ho gaya hai
Gham mujh ko kuchh nhi hai, ye baat hai purani
Guzra hua zamana, kaliyon ka muskurana bs yad aa gya hai
Aaye bahar phir se, aye kaash mere chaman men
Aabaad ho ye phir se, dhuaan ise laga hai
Obaidullah Usmani
Zabardast
ReplyDeleteBahot zabardast bahot khoob Masha Allah
ReplyDelete