REKHTA
Urdu ka naan purana hai Rekhta
Hindi ko apna bnata hai Rekhta
Sabke dilon ko lubhata hai Rekhta
Hmko adab sikhata hai Rekhta
Ye naam band tha kitabon me kl magar
Ab har zuban pe naam aata hai Rekhta
Bolne ka tumko agar hai hunar nhi
Aajao har saliqa sikhata hai Rekhta
Urdu to sab zubano ka mel hai
Is waste to jaan lutata hai Rekhta
Alfaz mar rahe the Urdu ke naam par
Aab~e~hyaat isko pilata hai Rekhta
Obaid hai nhi Shayar ki list me
Ghar pe hi Jashn ye mnata hai Rekhta
- Obaidullah Usmani