Tuesday, April 21, 2020

Aye Dost

Ghazal

Ishq rahi hai jo sargarm~e~safar hai Aye Dost 
Husn ek nakhl sar~e~rah guzar hai Aye Dost 

Parvarish Soz~e~Mohabbat ne kiya hai isko
Qatra~e~Ashk mera rashk~e~gohar hai Aye Dost 

Zindagi itni hansi aaj se pahle to na thi
Isme shamil teri masoom nazar hai Aye Dost 


Ishq hai kham  to ban jata hai dar bhi diwar
Ishq kamil hai to diwar bhi dar hai Aye Dost 

Main tera jazba~e~bedar kahan se laun 
Tere sine me to patthar ka jigar hai Aye Dost 

Dil hai ghamgeen to hira bhi hai zarre se haqeet
Dil agar khush hai to shabnam bhi gohar hai Aye Dost 

Shabbeer  Kazmi  Kazim Muzaffarpuri

Sunday, April 19, 2020

Kabhi Kabhi

Ghazal

Palkon pe meri  aaye hain aansu kabhi kabhi
Tarikiyon me chamke hain  jugnu kabhi kabhi

Goya nishate rooh ka gulzar khul gaya
Mahki jo yade  Yaar ki khushbu kabhi kabhi

Ba~wasfe ek dili bhi mere unke darmiyan
Nikle hain ikhtelaf ke  pahalu kabhi kabhi

Roka  that Ham ne  jin ko nidamat ke  khauf se
Toofan  ban gye  wahi aansu kabhi kabhi

Be ikhteyar khoon rulata hai aye NAZEER
Ab bhi khyale jumbishe abru kabhi kabhi

- Saadat Nazeer M.A.