Palkon pe meri aaye hain aansu kabhi kabhi
Tarikiyon me chamke hain jugnu kabhi kabhi
Goya nishate rooh ka gulzar khul gaya
Mahki jo yade Yaar ki khushbu kabhi kabhi
Ba~wasfe ek dili bhi mere unke darmiyan
Nikle hain ikhtelaf ke pahalu kabhi kabhi
Roka that Ham ne jin ko nidamat ke khauf se
Toofan ban gye wahi aansu kabhi kabhi
Be ikhteyar khoon rulata hai aye NAZEER
Ab bhi khyale jumbishe abru kabhi kabhi
- Saadat Nazeer M.A.
- Saadat Nazeer M.A.
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment